कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां यूज किया गया है .Adhar Card Status Kaise CheckKare

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

  कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां Use किया गया है 



Hello friends ! Aaj mai aapko logo ke liye ek bahut hi useful trick lekar aaya hu.jise janana apke liye behda jaruri hai .

aaj hum is post me jannenge ki kaise pata kare ki apka adharcard kaha kaha use hua hai . kaise jane ki adhar card ka ishtemal kaha kaha par hua hai .ji ha dosto yah janana aapke liye behad jaruri hai .


  कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां Use किया गया है
                                                                                                                             

jaisa ki aap sab janate hai ki adhar card hamare liye ab kitna important document ban chuka hai.jiski vajah se aaj hum logo ko apne adhar card ki  poori jankari rakhni jaruri ho gayi .

Also Read 
aap sabhi janate hai ki adharcard dheere dheere sabhi kaamo ke liye use hone laga hai .yaha tak adhar card ab rojmarra ki jrurat ban gaya hai .

adharcard ko  hamare bank account se bhi link kiya gaya aise me yah janana behad jaruri ho gaya ki hum apne adharcard ke baare me poori poori jankari rakkhe 

Adhar Card Kya Hai ? Adhar Card Status Kaise pata Kare ?



Dosto aapko batane ki jarurat nhi hai ki adhar kaya hai .aap bahut hi acchi trah se jante hai ki adhar card kya hai .phir bhi mai aapko yah bata deta hu.


adhar card bharat sarkar dwara bharat ke nagriko ko pradan kiya jane vala ek vishit pahchan patra hai .is pahchan patra me 12 anko ka ek vishit sankhya hoti hai jo us vyakti ke baare sabhi jankiriya uplabdh karawati hai 


.adhar card bharat desh me kahi bhi vyakti ki pahchan aur uske pate ka praman hoga .

Kaise Pata Kare Apka Adhar Card Kaha Kaha Hua Hai Istemal ?


Dosto aap to jante hai ki adhar card ka use ab har chote bade kaamo me hone laga hai .aise me adharc card ki full detailas hona anivrya hai .

ab jaha tak sambhav ho bina kisi avshkta ke apna adharcard number kisi ko na batyae kyo ki aaye din adhar card se dhokha dhadi kie mamale badhte ja rahe hai .

to dosto chlaiye janate hai ki adhar card ki full details kaise pata kare .ki apka adhar card kaha kaha hua hai istemaal .



sabse achhi baat yah hai ki aap ise ghar baithe pata kar sakte hai yah bahut hi asan hai to chaliye jante ki ki kaise ghar baithe adhar card status pat kare .

Aise jane ki adharcard kaha hai istemal
  • Sabse pahle adhar card ki offcial website  uidai.gov.in par jana hoga 

कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां यूज किया गया है .Adhar Card Status Kaise CheckKare 1
uidai.gov.in


  • ab ise open karne ke baad  apko kuch is trah page khulega 


कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां यूज किया गया है .Adhar Card Status Kaise CheckKare 2


    • jaha par enter uid vale khali block me apna adhar number likhna hai 
    •  iske bad Enter Security Code me samne diya hua char anko ka code dalana hai 
    • iske bad genret otp par click karna hai 


    कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां यूज किया गया है .Adhar Card Status Kaise CheckKare 3

    iske bad aapke saamne kuch aisa page aayega Authentication type me ALL select karna hai 

    iske baad select date range me  date select karna hai.jis mahine se aap chahe vaha par apna date select kar sakte hai .
      lekin sabse jaruri baat yaha par keval 6 month ka adhardata hi dikhjayi  deta hai 
      phale number of record me maximum 50 tak chune 
      • iske baad page ko sabmit kar dijiye 
      • submit ke baad aapke saamne ek naya page khulega jaha par aap check kar sakte ki

      कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां यूज किया गया है .Adhar Card Status Kaise CheckKare 4

      • dosto secquirity ke liye mainbe page ko rough kar diya hai .lekin aapke dwara dikhaye gaya page bilkul  clean hoga .yaha par aap adharcard se relaited puri jankari check kar sakte hai 
      • aapne kis date kis tarike se apka adharnumber verify kiya gaya hai .

       to dosto aap samjh gaye gaye honge ki kaise online adharcard status kaise check kare .aaj present time me apne adhar data ko save rakhna utna hi jaruri ho gaya jitna ki atm pin number .

      aap sabhi jante hai ji bharat sarkar ne  bank account ko aadhar card link kar diya hai .aise me bina kisi vajah ke adhar number kisi ko batana badi pareshani khada kar sakta hai .


      to ho sake jarurat par hi apna adhar no kisi ko batayae .aur mobile number par aane vale otp pin v massage ka bhi acchi trah se gaur kare .











        



      Related Posts

      3 thoughts on “कैसे पता करें कि आपका आधार कार्ड कहां-कहां यूज किया गया है .Adhar Card Status Kaise CheckKare

      Leave a Reply

      Your email address will not be published. Required fields are marked *